Tuesday, October 26, 2010

Main Kaidi No 149268



Cubicle ke dewaron ke us paar dekhta hoon
apni hi tarah
khaali baithe ek colleague ko dekhta hoon
kabhi mail karta
kabhi coffee peeta
kabhi Extn pe baat karta 
Messenger pe chat karta rehta
woh kehte hain woh TL hai
woh kehte hain woh senior hai
fir kyon mere jaisa lagta hai
kyon din bhar FW: padhta hai

cubicle ki dewaron ke us paar dekhta hoon
cabin me baithe apne PM ko dekhta hoon 
Main kaidi no 149268
kabhi phone pe
kabhi conference-call pe
gussa utarta jaane kis pe
who kehte hain project aane wala hai
training complete karo , kaam aane wala hai
fir kyon mujhe yeh jhootha sa lagta hai 
fir kyon yeh sapna sa lagta hai

Main kaidi no 149268 
cubicle ke dewaron ke us paar dekhta hoon
Doosri companiyon ko join kar chuke
purane doston ko dekhta hoon
woh kehte hain bond ka kya hai, chale jao 
woh kehte hain kahin aur kismat aazmao
fir kyon bond todne se dil darta hai
abhi do saal aur intezaar
karne ko jee darta hai

Main kaidi no 149268.....
cubicle ki dewaron ke us paar dekhta hoon............. 
roz ek nayi subah ka intazaar karta hu
dewaron ke us paar dekhta hu........... 
Enhanced by Zemanta

No comments: