Tuesday, October 26, 2010

Last day at college

Saint Anselm College, an American college.Image via Wikipedia




Bade utavle the yahaan se jaane ko
zindagi ka agla padaav paane ko

par naa jane kyon ..dil mein aaj kuch aur aata hai
waqt ko rokne ka jee chahta hai

jin baton ko lekar rote the
aaj un par hansi aati hai
na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai

kaha karte the ..badi mushkil se char saal seh gaya
par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya

na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi

meri taang ab kaun kheencha karega
sirf mera sir khane kaun mera peecha karega

jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega
kaun raat bhar saath jag kar padega

KAUN MERI gaadi mujse pooche bina lejayega
kaun mere naye naye naam banayega

mein ab bina matlab kis se ladoonga
bina topic ke kisse faalto baat karoonga

kaun fail hone par dilasa dilayega
kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega

Sadak mein Beer kis ke saath piyoonga
wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga

aise dost kahaan milenge
jo khai mein bhi dhakka de aayein
par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein

mere gaano se pareshaan kaun hoga
kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga

kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai
kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai

movies mein kiske saath dekhhonga
kis ke saath boring lectures jheloonga

mere farzee certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega
bina dare sachi rai dene ki himmat kaun karega

achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna
na jaane ye fir kab hoga
keh do doston ye dobaara sab hoga

doston ke liye professor se kab lad payenge
kya hum ye fir kar payenge

raat ko 2 baje poha khane aur cig pine station kaun jayega
tez gaadi chalane ki shart kaun lagayega

kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega
aur jyada hawa mein udne par zameen pe layege

meri khushi mein sach mein khush kaun hoga
mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga
na jaane ye fir kab hoga
keh do doston ye dobaara sab hoga

Enhanced by Zemanta

No comments: