Tuesday, October 26, 2010

Engineer

Engineer woh hain
jo aksar phasta hain

Interviews ke sawaal mey
Badi companiyon ke jaal mey
Boss aur client ke bawaal mey


Engineer woh hain
jo pak gaya hain
Meetings ki jhelai mey
Submissions ki gehraai mey

Teamwork ki chataai mey


Engineer woh hain
jo laga rehta hain
Schedule ko failane mey
Targets ko khiskaane mey
Roz naye-naye bahaane banane mey


Engineer woh hain
jo lunch time mey Breakfast karta hain
Dinner time mey Lunch karta hain aur
Commutation ke waqt soya karta hain


Engineer woh hain
jo paagal hain
Chai aur samose ke pyaar mey
Cigarette ke khumaar mey
Birdwatching ke vichaar mey


Engineer woh hain
jo khoya hain
Reminders ke jawaab mey
Na milne waale hisaab mey
Behtar Bhavishya ke khwaab mey


Engineer woh hain
jise intezaar hain
Weekend nights par dhoom machaane ka
Boss ke chutti par jaane ka
Increment ki khabar aane ka


Engineer woh hain
jo sochta hain
Kaash padhaai par dhyaan diya hota
Kaash teacher se panga na liya hota
Kaash ishq na kiya hota....

Kaash.... 

Enhanced by Zemanta

No comments: