Sunday, March 22, 2009

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga
Hum Musafir Hain, Yahan Se Humain Jana Hoga

Ye Wo Basti Hai Jo Basti Hai Ojarrnay K Liye
Ghar Kahin Aur Humain Ja Kar Basana Hoga

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga
Hum Musafir Hain, Yahan Se Humain Jana Hoga

Dil Banay Aisa K Hum Shoq Se Jaayain Warna
Dil Na Chahayega Magar Jaan Se Jana Hoga

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga
Hum Musafir Hain, Yahan Se Humain Jana Hoga

Band Hotay He Khulaingi Hamari Aankain
Ranj-o-Hasrat Ka En Aanko Mai Fasana Hoga

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga
Hum Musafir Hain, Yahan Se Humain Jana Hoga

Dil Ojarrnay Se Bachana Hai To Laila Ki Bajaaye
Apnay Dil Ko Ghum-e-Maula Se Sajana Hoga

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga
Hum Musafir Hain, Yahan Se Humain Jana Hoga

Ba-Khuda Gar Humain Pana Hai Khuda Ko Dosto !!
Ba-Khuda Tak Humain Har Haal Mai Jana Hoga

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga . . .